Raah dekhi thi is din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se.
Bade utavle the yahaan se jaane KO,
Zindagi ka agla padaav paane KO.
Par naa jane kyon ..Dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.
Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .
Kaha karte the ..Badi mushkil se char saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya...
Read More